Ik Aag Si Lagi Hai!
ik aag si lagi hai,
yeh duniya jal rahi hai;
chaaron taraf kaisi,
yeh hawaayein chal rahi hain?
kyun zulm ho raha hai?
kyun insaan mar raha hai?
insaan ke ragon mein,
kyun paani beh raha hai?
nadiyaan jab har soo
khoon ugal rahi hain;
ik aag si lagi hai,
yeh duniya jal rahi hai;
chaaron taraf kaisi,
yeh hawaayein chal rahi hain?
yeh nafrat ki hawa kyun?
yeh dard ki sada kyun?
galiyon mein chaubaaron mein
yeh maut ke nishaan kyun?
yeh laashon ka samaan kyun?
yeh jung ki azaan kyun?
insaaniyat ke rukh pe
yeh past hausla kyun?
ik aag si lagi hai,
yeh duniya jal rahi hai;
chaaron taraf kaisi,
yeh hawaayein chal rahi hain?
aao haath milaayein,
is duniya ko bachaayein.
har ek ke dil mein,
fir pyaar ko basaayein.
nafrat ka saath chhodein,
aur gaayein yeh taraana -
saare jahaan se achha
hindostaan hamara!
woh pyar ka basera,
woh aashiyaan hamara-
saare jahaan se achha
hindostaan hamara!
|